Following poem was heard from a respected family elder about a decade back, who himself learned it during his childhood in Urdu. Same is being produced below in english text for enjoyment of the modern younger readers. It is a great inspirational poem with beautiful explanation of the state of nature at that moment and penetrating questions with befitting replies for all to enjoy. One could have translated the whole poem in english also but one feared that rhyme and metre would be lost in the process hence presenting it as such. English reading audience may please forgive.
Kal subh Matlaye Tabaan se Jab Alam Bukkai Noor Hua,
Sab Chand Sitare Maand Hua Khursheed ka Noor Juhoor Hua.
Mastana Havayen Gulshan thi Janana Adayen Gulban Thi,
Har Vadi Vadi Amen thi,Har Koh Pe Noor samaya Tha.
Jab Vade Saba Mizrab Bani, Har Shaakh Misale Rabab Bani,
Shamshaad-O-Chinaar Sitar Bane, Har Saro Suman Tamboor Hua.
Sab Tayar Mil ke Gane Lage, Irfaan ki Tane Udane Lage,
Ashjaar Bhi Vazad Mein Ane Lage, Dilkash Vo Samaye Tumboor hua.
Sabze Ne Bisaat Bichaii Thi, Aur Bazme Suroor Samai Thi,
Ban mein Gulshan Mein Angan Mein, Farshe Sanjab Vasamool Hua.
Tha Dilkash Manzar Dashta Jabal, Aur Chaal Saban Ki Mastana,
Is Haal Main Ek Pahadi Par, Ja Nikla Naazar Diwana.
Chilon Ne Jhande Gade The, Parvat Par Chauni Chai Thi,
The Kheme Dere Badal Ke, Kore ne Kanat Bichai Thi.
Yahan Barf Ke Tode Galte The, Chandi Ke Favvare Chalte The,
Chashme Simaat Ugalte The, Naloon Ne Dhoom Machai Thi.
Yahan Kullai Koh Par Rehta Tha, Ek Mast Kalandar Vairagi,
Thi Raakh Jattaon Mein Jogi ke, Aur Ang Vibhoot Ramai Thi.
Tha Raakh Ka Jogi Ka Bistar, Aur Raakh Ka Piraahan Tan Par,
Thi Ek Langoti Zeve Kamar, Jo Ghutno Tak Latkaai Thi.
Sab Khalke Khuda Se Begana, Vo Mast Kalandar Diwana,
Baitha Tha Jogi Mastana, Annkhon Mein Masti Chai Thi.
Jogi Se Ankhe Chaar Hui, Aur Jhuk ke Maine salaam Kiya,
Tab Aankh Utha ke 'Nazar' se, Youn Banbaasi ne Kalaam Kiya.
Kyon Baba Nahak Jogi ko, Tum Kis Liya Ake Satate ho,
Ham Pankh Pakhero Banvasi, Tum Jaal Mein A Ke Phansate Ho.
Koi Jhagda Daal Chapati ka, Koi dava Ghode Hathi Ka,
Koi Shikva Sangi Sathi Ka, Tum Ham Ko Sunane Ate Ho.
Ham Hirso Hawa Ko chod Chuke, Is Nagri se Munh Mod Chuke,
Ham Jo Zanzeeren Tode Chuke, Tum laake Vahi Pahnate Ho.
Tum Pooja Karte Ho Dhan Ki, Ham Seva Karte Hai Saajan ki,
Ham jot Jagate Hai Man ki, Tum Aake Usae Bujhate Ho.
Sansaar Se Yeh Mukh Phera hai, Man Mein Sajan Ka Dera hai,
Yahan Aankh Ladi Hai Priytam Se, Tum Kis Se Aankh Ladate Ho.
Question of Nazar:
Us Mast Kalandar Jogi Ne, Jab Nazar Ko Yeh Ataab Kiya,
Kuch Der To Ham Khamooshn Rahe, Phir Jogi is yeh Mataab Kiya.
Hein Ham Pardesi Seelani, Mat Nahak Taish Main Aa Jogi,
Ham Aate Tere Darshan Ko, Chitwan Par Mail Na La Jogi.
Abaadi Se Munh Phera Kyon, Parbat mein kiya Dera Kyon,
Har Mehfil mein, Har Manzil Mein, Har Dil mein Noore Khuda Jogi.
Kya Masjid Mein Kya Mandir Main, Sab Jalwa Hai Vo Allah Ka,
Parbat Mein, Nagar Main Sagar Mein, Har Uttran Hai Har Ja Jogi.
Ji Shahar Mein Khoob Machalta, Vahaan Husn Pe Ishk Machalta Hai,
Vahaan Prem Ka Sagar Chalta Hai, Chal Dil Ki Pyas Bhuja jogi.
Va Dil Ka Guncha khilta Hai, Har Rang Mein Mauman milta Hai,
Chal Shahar Mein Shankh Baja Jogi, Chal Bazaar Mein Dhooni Rama Jogi.
Answer of Jogi:
In Chikni Chupdi Batton Se, Mat Jogi Ko Fusla Baba,
Jo Aag Bujhai Yatano Se, Us Par Na Tael Gira Baba.
Hai Shahron Mein Guloshoor Bahut, Aur Hirso Hawa Ka Shoor Bahut,
Baste Hain Nagar Mein Choor Bahut, Sadhu Ki Ban Main Ja Baba.
Hai Shahar Mein Shorash Nafsaani, Jangal Main Jalwa Ruhani,
Hai Nagari Dagari Kasrat Ki, Ban Vahadat Ka Dariya Baba.
Ham jangal Ke Phal Khate Hai, Chashmon Se Pyas Bhujhte Hai,
Raja Ke Dware Na Jate Hai, Parja Ki Nahin Parwah Baba.
Sar Par Akaash Ka mandal Hai, Dharti Pe Suhani Makhmal Hai,
Din Ko Suraj Ki Mahfil Hai, Shab Ko Taaron Ki Sabha Baba.
Jab Jhoom Ke Yahan Ghan Ate Hain, Masti Ka Rang Jamate Hain,
Chashme Tambool Bajate Hai, Gaati Hai Tab Malhaar Ban Baba.
Yahan Panchi Mil Kar Gate Hai, Pritam Ka Sandesh Sunate Hai,
Ya Roop Anoop Dikhate Hai, Phal Phool Aur Barag Gaya Baba.
Hai Pet Ka Hardam Dhyan Tumhe, Aur Yaad Nahin Bhagwaan Tumhe,
Sil, Pathar Eent Makaan Tumhe, Dete Hain Sakhi Se Chuda Baba.
Tan Man Ko Dhan Mein Lagate Ho, Pritam Ko Dil Se Bhulate Ho,
Maati Mein Lal Gawante Ho, Tum Bande Hilso Hawa Baba.
Dhan Daulat Aani Jaani, Yeh Duniya Ram Kahani Hai,
Yeh Alaam Phani Phani Hai, Baki Hai Zate Khuda Baba.
Hope all of you enjoyed it and received the hidden message in it.....Om!
sir,
ReplyDeletevery nice please post some more like this....
this poem is very very old... mere mama ji ne sunai... unho ne kaha hum bachpan mai isko padte the....
ReplyDeleteThanks, i love this too. My mothers uncle use to recite it and i got it from him. Its simple n full of vairagya of a yogi.....there is one more written by nank ji on the blog which use to b a part of gutuka. But later on some enlightened being deleted it from there as it uosed persian words more than gurmukhi. That also is a master piece..enjoy that too....best regards..om..shaktanand.
ReplyDeleteSUNEET JI
ReplyDeletefirst of all jai radhe shyam... Pay my regards to all the elders...
secondly sir agar aap kuch aur poems ya spritual shyaris ya poems share kar sako to bht aanand prapt ho jae... ye kavita mujhe bhi mere ek uncle ne sunai... mandir mai baithe santoon ka darbar hai yahan ludhiana mai... Shri Sidh Peeth Dandi Swami Mandir..... aur yahan har sunday satsang hota hai... hum shabdo mai nai bata sakte ke ye dardar aur yahan ka satsang kaisa hai.. bus ye samjhiye ke Sh Vinod Agarwal Ji, Sh Govind bhargav Ji, Rahul Chodhary ji, Baldev Sehgal ji sab aate hai... Yahan tak Ki Bade Bade sant bhi natmastak hote hai Shri Maharaj Ji ke aage... bus wahi se kripa prapt hai ki is dass ka bhi prabhu naam mai sant wani mai thoda bahut mann laga hua hai.... suneet ji aap bhi kripya apna parichay bataen.... aapke is post ko padh kar bht bht acha laga...jai shri ram...